11/05/2017
بسم الله الرحمن الرحیم
15 Shabanul Moazzam Ki Fazilat
Aur Is Shab Ke Aamal.
Rasulallah (SAWW) Ne Farmaya Ke 15 Shaban Ki Shab Mein Allah (Swt) Bande Ke Rizq, Zindagi, Maut Aur Momenin Ke Umoor Ke Faisle Leta Hai.
15 Shaban Ki Shab, Shab E Qadr Ke Barabar Hai Aur Is Raat Ko Shab E Bara'At Bhi Kahte Hain
Imam Baqir Aur Imam Jafar E Sadiq (A.S) Farmate Hain Ke Allah (Swt) Is Shab Mein Har Jayez Hajaat (Dua) Ko Qubool Karega Jo Uski Khidmat Mein Pesh Ki Jayegi.
*Few Aamal*
1.Ghusl Karein
2.Raat Bhar Jaage Aur Ibadat Karein
3.Ziyarat Imam Hussain (A.S) Padhein
4.Namaz Ziyarat Imam E Zamana (A.S) Padhein
5. Is Shab Ki Jo Makhsus Dua Imam Zamana (A.S) Ke Shan Mein Hai Padhein
6.Namaz Ziyarat Imam Hussain (A.S)
7.Namaz Neema E Shaban 10 Rakat (2-2 Rakat Kar Ke Padhein
Har Rakat Mein 1 Martaba Sure Alhamd
10 Martaba Sure Ekhlas (Qul howallah)
8.Tasbih E Janab E Zahara (S.A)
9. Dua E Kumail
10/.100 Martaba Subhanallah
11./ 100 Martaba Alhamdolillah
12./ 100 Martaba Allaho Akbar
13/. 100 Martaba La Ela ha illallah
14/.Surah Yasin Ki Tilawat Is Shab Mein 3 Baar Karein
Shaikh Kafami Likhte Hain Ke Sure Yasin Ki Tilawat
1.Lambi Hayat Ke Liye
2.Khush Hal Zindagi Ke Liye
3. Hadsaat Se Bachne Ke Liye
15./ Namaz Jafar E Tayyar (A.S)
Is Shab Me Khaas Dua Karein Ke Allah (Swt) Imam E Zamana (Atfs) Ke Zahoor Mein Tajeel Kare Aur Duniyan Bhar Mein Ahlebait (A.S) Ke Chahne Walon Ki Hifazat Kare Aur Tamam Marhumin Ko Jahannum Ki Aag Se Baraat (Nejaat) Ata Farmaye..Amin Elahi Aamin.
Iltemas E Dua
Dr.Sameer Rizvi
اللهم صل علی محمد و آل محمد