
06/05/2024
RAW FRUITS YA FRUIT JUICES?
Fruit juices ya fruit shake peene ki bajaye, asal phalon ko khana zyada faida mand hai. Yeh kyun?
Kyunki phal ke chilke mein fiber hota hai jo humare digestion ko theek rakhta hai aur insulin ke level ko control mein rakhta hai. Jab hum juice banate hain, yeh fiber zyada tar nikal jata hai, is se humare j**m ka sugar level tezi se badh sakta hai.
Phalon mein jo vitamins, minerals aur antioxidants hote hain, woh juice mein hota hai lekin natural form mein, jo humare liye zyada faida mand hota hai. Juice banate waqt, kuch zaroori nutrients kho jate hain.
Aur phal mein jo natural sugars hote hain, woh bhi juice mein zyada ho jate hain kyunke juice banane se sugar breakdown hoti hai. Agar ap fruit khayenge jaise ke apple ya 80g faalsa tou uski calories kam hongi lekin fruit juice banane ke lye apko ek se zada fruit lena parhega jIs se calories zyada ho jati hain, jo aapka wazan barha sakta hai.
Fresh juice kabhi kabhar ap le sakte hain lekin half glass se zada mat len!
Toh agar aap sehatmand aur fit rehna chahte hain, toh phal ka maza lein aur apni sehat ko behtar banayein! 🍎🍊🍇