Tibbe Islami India

Tibbe Islami India Islamic system of medicines.

Miraculous Islamic Natural Remedies for All types of Physical, Psychological, and Spiritual Problems.

इस्लामी उपचार पद्घति
इस्लामी चिकित्सीय,
हर तरह के शारीरिक एवं मानसिक रोगोपचार चमत्कारिक परिणाम देने वाले कुदरती नुस्खे।

20/02/2026
Tibb-e-Islami (India) Divine Remedies
29/01/2026

Tibb-e-Islami (India)
Divine Remedies

20/05/2025

بسم الله الرحمن الرحيم
١١٠

Hazrat Imam Moosa Kazim ع Farmate Hai,
Wo Dastarkhwan Jis Par Namak Na Ho Wo Mubarak (Barkat wala) Nahi Hai, Thode Namak Ke Saath Khaana Shuru Karna Sehat Ke Liye Achchha Hai.
Al Kaafi, Vol. 6, Pg 326

Hazrat Imam Ali Reza ع Farmate Hai,
Dastarkhwān Par Jo Rayze (Zarre) Girte Hai Unko Ikhatta Karke Khaane Se Dard-e-Kamar Ko Aaraam Ho Jaata Hai.
Tibbe Imam Reza ع

Jild (त्वचा/Skin) Ki Bimaariya
Daad (Ringworm), Khaaj (Scabies), Hives, Khujali, Naasoor (Wo Zakhm Jo Theek Nahi Hote), Kaale Daag Aur Har Qism Ke Fungal Aur Bacterial Infection Se Hone Waali Jild Ki Bimaariyo Ke Liye Kaargar Aur Turant Asar Dikhaane Waala Tibb-e-Islami ~ Divine Remedies (India) Ka Divaskin Oil

Order karne ke liye,
+91 87803 20696

19/05/2025

بسم الله الرحمن الرحيم
١١٠

Hazrat Imam Jafar Sadiq ع Farmate Hai,
Jo Bhi Khaane Ke Pehle Luqme Par Namak Daale Uske Chehre Ki Chhaaiya Khatam Ho Jaaye Gi.
Al Mahasin, Vol. 2 Pg 594

Hazrat Imam Ali Reza ع Farmate Hai,
Zyada Ande (Eggs) Khaane Se Chehre Par Chhaaiya Payda Ho Jaati Hai.
Tibbe Imam Reza ع Pg 26

Ghutno ke mareez ke liye Tibb-e-Islami ~ Divine Remedies (India) ki Divine Knee Health Kit

Agar mareez ko knee operation karke ghutne badalne ka hi aakhri raasta bataya gaya ho aur koi ilaaj na bacha ho un haalaat me bhi Divine Knee Health Kit ke 30 se 90 din ke istemaal se inshaAllah ghutne naye ho ke dard aur bimaari hamesha ke liye chali jaayegi be-iznillah, Poori duniya ke alag alag mulk ke alag alag mizaaj ke seinkdo mareezo ne iske behtareen results paaye hai.

Order karne ke liye,
+91 87803 20696

18/05/2025

بسم الله الرحمن الرحيم
١١٠

Hazrat Imam Ali Reza ع farmate hai,
Quran padhne, Shahed (Honey) khaane aur Doodh peene se haafeza badhtaa hai.
Tibbe Imam Reza ع

Tibb-e-Islami ~ Divine Remedies (India) ka 100% Kudrati aur Khaalis Shahed Divine Real Honey

Order karne ke liye,
+91 87803 20696

17/05/2025

بسم الله الرحمن الرحيم
١١٠

RasoolAllah Hazrat Mohammad Mustafa ص Farmate Hai,
Marzanjush (Marjoram) kitna achchha podha hai, Ye Arsh ke neeche ugta hai aur iska paani Aankho ke liye shifaa hai.
Makarimul Akhlaaq, Vol. 1 Pg 107

Aankho ki har aam takleef Me Mufeed Tibb-e-Islami ~ Divine Remedies (India) Ki Product Eyonine Eye Drops

1) Aankho ka dhundhlāpan hatā ke raushani badhāta aur tez karta hai.
2) Aankho ki garmi aur thakaan door karta hai.
3) Mobile, Computer Etc. ke zyada istemal se ya kisi bhi tarha Aankho ko pahoche nuksanaat ko durust karta hai.
4) Motiyabind (Cataract) aane se rokta hai.
5) Regular istemaal Se Badhti Umr Me Bhi Aankho Ki Raushani Barkarār Rakhta Hai.
6) Aankho Ki Allergy (Dust, Dhuāñ Vagaira) Ko Door Karne Me Madad Karta Hai.
7) Jin Logo Ko Apne Kaam Me Aankho Ka Zyāda Istemāl Rehta Ho Ya Jinhe Kisi Aur Wajah Se Chashme Lagne (Aankho Ke Number Aane) Ka Khauf Ho Unko Aankho Ki Kamzori (Chashma Lagne, Numbers aane) Se Bachaata Hai.

Order karne ke liye,
+91 87803 20696

15/05/2025

بسم الله الرحمن الرحيم
١١٠

Hazrat Imam Ali Reza ع :
Surkh Shakar Balgam (Phlegm) Ko Khatam Karti Hai.
Usool e Kāfi, Vol. 6, Pg 333

Hazrat Imam Ali Reza ع :
Zyada Ande (Eggs) Khaane Se Saans Me Tangi (Shortness of breath) Ho Jaati Hai.
Usool e Kāfi, Vol. 4, Pg 118

Phephado Ki Beemaariyo (Asthma, COPD, Bronchitis, Pneumonia Etc.) Ke Liye Tibb-e-Islami ~ Divine Remedies - India Ki Divine Lung Health Kit

Order karne ke liye,
+91 87803 20696

13/05/2025

بسم الله الرحمن الرحيم
١١٠

Hazrat Imam Hasan ibne Ali ع :
Khāna Khāne Ke 12 Aadāb Hai Jo Tamām Musalmāno Ko Patā Hone Chāhiye, Unn Me Se 4 Wājib Hai, 4 Sunnat Hai Aur Aakhri 4 Achchhe Akhlāq Hai,

Wājib:
1. Ilm (Khāne Ke Bāre Me - Halāl/Harām/Makruh)
2. Rāzi Aur Khush Hona (Khāne Se)
3. Allah Ke Naam Ka Zikr Karna (Bismillah Hir-Rahman Nir-Raheem Padhna)
4. Allah Ka Shukr Adā Karna

Sunnat:
1. Khāne Se Pehle Wuzu Karna
2. Bāye Tāng Par Bethna (Sitting on the left leg)
3. Teen Ungliyo (Aur Angoothe) Se Khāna
4. Ungliyo Ko Chātna (Khāna Khāne Ke Baad Ungliyo Ko Saaf Karna)

Achchhe Akhlāq:
1. Apne Sāmne Ki (Sāmne Rakhi Hui) Chizon Se Khāna
2. Chhota Niwāla Banāna
3. Achchhe Se Chabāna
4. Zaroorat Ke Alāwa Sāth (Khaane) Bethe Logon Ke Chehre (Face) Ko Na Dekhna

Al Khisāl - Sheikh Sadooq

Gurde ki pathree (Kidney stone) ke liye Tibb-e-Islami ~ Divine Remedies (India) ki davaa Stonine

Sirf 3 din, 3 Dose*
Pehle din se pathree ka dard khatm*
Pathree toot ke urine ke saath flush*
100% Kudrati Arabian formulation.

Order karne ke liye,
+91 87803 20696

12/05/2025

بسم الله الرحمن الرحيم
١١٠

Ameerul Momineen Imam Ali ibne Abi Talib ع Ne Apne Bete Imam Hasan ع Se Farmaya, Ay Mere Bete, Kya Mai Tumhe Chaar Baatein Sikhāu Jo Tumhe Tabeeb (Doctor) Se Be-niyaaz (Independent) Kar De.

Imam Hasan ع Ne Farmaya, Hā Ay Ameerul Momineen.

Hazrat Imam Ali ع Ne Farmaya,
Dastarkhwan Par Faqt Uss Waqt Betho Jab Tum Bhooke (Hungry) Ho,
Aur Sair (Full) Hone Se Pehle Dastarkhwan Se Uth Jāo,
(Gizā/Food) Achchhi Tarha Chabāo (Chew well),
Aur Sone Se Pehle Baitul Khilā (Toilet) Jāo,
Agar Inn Baato Par Amal Karoge To Kabhi Tabeeb (Doctor) Ki Zaroorat Pesh Nahi Aayegi.

Al Khisāl, Pg 229

Sugar (Diabetes) ke liye Tibb-e-Islami ~ Divine Remedies (India) ka Divinsulin Powder:

- Ise lene se 2 se 4 ghante me sugar control
- Aankho se dhundhlapan hataa ke fir roshani badhaata hai
- Haath pairo ke dard ko door karta hai
- Kidneys me huve damage ko heal karta hai
- Baar baar bhookh pyaas lagna, Baar baar washroom jaana, Chakkar aana
- Quwwat e Baah ka kam ho jaana
- Mukhtasar ye ke Diabetes se aur usko control karne li gayi Allopathic davaa ya Insulin ki wajah se huve tamaam nuksanaat me karishmati taur par faaydemand.

Order karne ke liye,
+91 87803 20696

11/05/2025

بسم الله الرحمن الرحيم
١١٠

RasoolAllah Hazrat Mohammad Mustafa صل :
Jo Bhi J**m Par Mehndi (Henna) Male Aur Uske Saath Khizaab (Dye) Kare, Allah Taala Usko Doosri Dafaa Khizaab Karne Tak Teen Cheezon Se Mehfooz Rakhta Hai, Juzaam (Leprosy), Bars (Vitiligo) Aur Khurah (Gangrene, Hansen's disease).
Tibbe Ahlebayt ع Pg 116

Tibb-e-Islami ~ Divine Remedies (India) Ki 100% Natural, Original, Organic Mehndi (Henna)

Divine Henna Queen
ملكة الحناء
Al Malikatul Henna

Order karne ke liye,
Syed Yusha Reza
+91 87803 20696

Address

Mumbai

Opening Hours

Monday 9am - 9pm
Tuesday 9am - 9pm
Wednesday 9am - 9pm
Thursday 9am - 9pm
Friday 9am - 9pm
Saturday 9am - 10pm
Sunday 9am - 8pm

Telephone

+918780320696

Alerts

Be the first to know and let us send you an email when Tibbe Islami India posts news and promotions. Your email address will not be used for any other purpose, and you can unsubscribe at any time.

Contact The Practice

Send a message to Tibbe Islami India:

Share