13/07/2024
Child and Neonatal care
Continue……………………………
Part 2
Child care karne se pehle bachon ka mizaj janna samajhna bht zaroori h. sin e namu yaani badne ki umar mizaj haar ratab (hot & wet). bas agar is mizaj ke mizaj ko samajh liya to bache ki sehat unme hone wale amraz ko samajhna bhi asan ho jayega. unani ka pehla usool h ki sehat ko barqarar rakha jaaye yaani aisi tadabeer (tadbeer+ghiza) ikhtiyar ki jaaye jisse bache ki growth sahi se ho. yaani aisi ghiza di jaaye jinka mizaj haar ratab ho pehle part 1 me mene desi ghee,doodh, shehed, hareera, ka zikr kiya tha inke alawa nonveg me (above 2 years) yakhni dena bachon k liy nihayat sood mand h. veg me daalen (lantils) ka paani ya daal ko khule bartan me halki aanch par proper paka kar ghont kar, allo boil krke masal ke istemal karana bht he badiya rehta h khas kar badte bacho k liy. ab jab bacha is layak ho jata hai ki uske daant nikalne shuru ho jaate hain tab use shehed ka istemal zyada karwaiyye isse uske daant asani se niklenge. Is age me boil egg dena zaroori h. bachon ko pait se related prblms zyada hoti h isi liye or khas kar barsat ke mosam ke liy ghar me hamesha harad ki tikiya zaroor rakhen ye “bachon ki harad” ke naam se pansari k mil jaati h. iske istemal se bacho me bhook badti hai blotting nhi hoti pait saaf rehta h. ek or baat jo ham logon ne bilkul ignore kar di h wo h kajal ka istemal karna. drug mafia ne kajal ko aise present kiya h jese mano jitni bhi aankhen kharab hoti h wo sirf kajal ki vajah se hoti h. ham or aap bachpan se kajal laga kar he bade hue hain or usi vajah se aaj bhi hamme se kai log chashme se door hain. ab baat aati hai kajal konsa or kese istemal Karen to iska jawab bhi bht simple hai kajal ghar me bana lain bht simple recipe hai desi ghee ka diya bana kar uske upar saaf steel ka bartan rakh dain or uski black ash nikal lain bas tayyar h apka homemade pure and safe kajal. bacho ko lagayen or khud bhi istemal Karen.
Next part me bacho ke marz se mutallik adviya par discuss karenge.
To be continued……………………..
Hakeem Mohd Asif Khan
Professor
RUMC & H Jaipur