29/08/2025
"Kya aap soch sakte hain… maa baap ke liye sab se bara dukh kya hota hai? Apne bache ko khona. Aur jab woh bacha ek khaas, masoom aur farishte jaisa ho… to yeh dukh lafzon mein bayan karna mumkin nahi."
"Kuch din pehle ek khaas bacha… sahrayar 10 years old jo apni muskaan se sab ke dil jeet leta tha… laapata ho gaya. Din raat uske ghar wale usse dhoondhte rahe. Duaon mein aansoo mile, umeed aur bechaini ke darmiyan waqt ruk gaya."
"Phir aj subu … Soan River ne ek dardnaak sach saamne rakh diya. Us masoom bache ki laash paani ki lehroN mein mili. Us waqt sirf ek ghar nahi, balkay poora sheher ro diya. Ek khaas rooh, jo duniya ke zulm se be-khabar thi… hamesha ke liye khamosh ho gayi."
"Sochiye zara… ek maa ke dil par kya guzri hogi, jab usne apne laal ko is halat mein dekha hoga. Ek baap ka dil kis tarah seh gaya hoga, jab usne apni umeedon ka noor yun kho diya.
"Aaj sawal yeh hai… hum ek qaum ke taur par kya kar rahe hain? Har waqt jab ek bacha kho jata hai, ya kisi masoom ki laash milti hai, hum sirf ro lete hain, dua kar lete hain… phir bhool jaate hain. Lekin asal zimmedari to uss waqt shuru hoti hai."
"Har special bacha hum sab ki amanat hai. Unki security sirf maa baap ka kaam nahi, school, mohalla aur community sab ki zimmedari hai. Humay guard rails, safe spaces aur awareness campaigns ki zarurat hai."
"Agar koi bacha kho jaye to poora muashra jaag uthna chahiye. Har neighbor, har passerby, police, media – sab ko foran action lena chahiye. Sirf ek ghar ka nahi, ek sheher ka dukh hota hai."
"Aur sab se bari zimmedari… support. Jis maa baap ne apna bacha khona ho, unko tanha na chhodo. Woh sirf ek family ka loss nahi, hum sab ka loss hai. Hamari dua, hamari madad, hamari presence unke liye roohani marham ban sakti hai."
"Aaj agar hum sab apni apni zimmedari samajh lein… to shayad kal koi aur maa apne bache ko yun na khoe. Ek qaum wohi hoti hai jo apne sab se masoom, sab se zaeef afrad ki hifazat kare. Aur aaj… yeh hamari sab se badi azmaish hai."
..