30/09/2020
*PCOS Causes and Treatment*
PolyCystic Ovarian Syndrome (PCOS) kay baaray mein bohot say questions aatay hain. Iss article kaa maqsad simple aur aasan alfaaz mein PCOS ko explain karna hai, takeh readers ko female infertility kay iss common cause kay baaray mein basic information mil jae, aur woh readers jinko PCOS ke problem hai, unko iss disease kay different treatment options kaa patah chal jae, takeh woh apni doctors say apni disease kay baaray mein achay tareeqay say discuss kar sakain aur mukhtalif treatment options kay baaray mein unhain basic know how haasil ho jae.
Yeh baat yaad rakhaian keh jitni zyada aap ko apni disease kay baaray mein information aur knowledge ho gee, utna hee zyada aap ko apni doctor kay paas visit karna say faida ho gaa kiyonkeh aap ko patah ho gaa keh kon kon say important questions doctor say karna hain. Doosri taraf, agar aap ko apni disease kay baaray mein information nahin ho gee to jab aap doctor kay paaas jaen gee to aap apni health situation acchhay tareeqay say discuss nahin kar sakain gee.
Iss article ko parrhna kay baad aap ko PCOS kay baaray mein itni knowledge ho jae gee keh aap apni doctor kee visists say zyada say zyada faida uthaa sakain gee kiyonkeh aap apni disease say related different treatment options kay baaray mein already well informed hon gee, aur apni doctor ke madad say aap kay liya yeh decide karna zyada easy ho gaa keh aap ko kis waqt kis treatment option say zyada faida hona kaa chance hai.
Aaain apna topic kee taraf chaltay hain.
*WHAT IS PCOS:*
PCOS, PolyCystic Ovarian Syndrome kee short form hai. PCOS asal mein kae mukhtalif symptoms kay combination kaa naam hai, jiska main features hain hormonal imbalance, ovulation nah hona, abnormal me**es, cysts in ovaries, aur difficulty getting pregnant. Aagay chal kar mein yeh sab symptoms detail say discuss karoon gaa.
*HOW COMMON IS PCOS:*
Actually, PCOS aik bohot common condition hai, aur generally approxiamtely 10% women ( har 10 mein say aik female) ko PCOS kee problem hotee hai. Magar interesting baat yeh hai keh zyada tar women ko patah hee nahin hota keh unhain PCOS hai. Generally, iska patah uss waqt chalata hai jab woh shadi kay baad pregnant honay kee koshish kar rahee hoti hain magar successful nahin ho paa rahee hotein. Iss aricle mein PCOS kay important symptoms aur clinical features parrh kar aap kisi had tak yeh andaaza lagana mein kaamyaab ho jaian gee keh kahin aap ko PCOS to nahin, aur early diagnosis say treatment kee success kay chances bhee barrh jaatay hain.
*COMMON SYMPTOMS AND CLINICAL FEATURES OF PCOS:*
*1): HORMONAL IMBALANCE:*
PCOS kaa aik bohot common feature hormonal imbalance hai. Har normal female mein male hormones ( Testosterone) bhee bohot small quantity mein paya jaata hain. PCOS kay most cases mein Testosterone level ( male hormone level) abnormally increase ho jaata hai. Iska saath saath female hormones ( FSH,LH,Estrogen,Progesterone) levels bhee abnormal ho jaatay hain. Iss liya kisi bhee patient kay liya jinko PCOS hona kaa chance ho, unka liya yeh bohot zaroori hai keh initial stages par hee apna lab tests karwaa lain takeh diagnosis jaldi kiya jaa sakay, aur proper treatment start kiya jaa sakay. Iska liya generally periods kay 3rd day par FSH,LH,Estrogen, Testosterone levels, aur 21st day par Progesterone level karwana bohot zaroori hai. iska illawa kuch aur labs bhee bohot important hain, including TSH level, Fasting Blood Glucose levels, aur Prolactin level etc etc.
*2): ABNORMAL ME**ES:*
PCOS mein abnormal me**es bohot common hain. Generally, unn women ko jinhain PCOS hota hai, unka periods kay darmian ka waqfa barrh jaata hai, aur generally 1 year mein sirf 8 or 9 martaba hee unhain periods aatay hain, as compared to about 13 times a year for most normal women. Kuch women mein heavy bleeding kee problem bhee ho jaatee hai.
*3): EFFECTS OF INCREASED MALE HORMONE LEVELS:*
Jaisa keh mein nay ooper bataya keh PCOS kay most cases mein male hormones ka level barrh jaata hai. Iski wajah say kai symptoms develop ho jaatay hain, for example facial hair, acne on face and arms and back, hairs on chest ( particularly around the ni***es) and abdomen. Aksar women mein iss wajah say sar kay ball girna bhee shorow ho jaatay hain ( hair loss).
*4): SKIN PROBLEMS:*
Acna kay saath saath aur bhee skin changes develop hotee hain, including darkening of skin of underarms and neck.
*5): DIFFICULTY GETTING PREGNANT:*
PCOS kaa aik bohot common feature hai difficulty conceiving ( difficulty getting pregnant). Iski main reasons hain hormonal imbalance aur anovulation ( egg release nah hona). Bohot say aisay cases hota hain keh women apna abnormal me**es kaa treatment karwaa rahee hotee hain without knowing keh unka main problem PCOS hai. Aur kiyonkeh treatment unki main problem yaani PCOS ko treat nahin kar raha hota, iss liya woh bohot arsa tak treatment karwana kay bawajood pregnant nahin ho patein.
polycist and overy cyndrome....